Soundtracks Lyrics Archive: mainly in collecting movie song lyrics and soundtrack lyrics.

Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics

song listing: Rough Guide to Bollywood Gold Lyrics

Chandni O Meri Chandi .......... Jolly Mukherjee

Zindagi Ek Safar Hai Suhana .......... Kishore Kumar

Mehbooba Mehbooba .......... Rahul Dev Burman

In Aankhon Ki Masti .......... Ashoa Bhosle

Aaja Aaja Main Hoon Pyar Tera .......... Asha Bhosle

Tere Chehre Se Nazar Nahin .......... Lata Mangeshkar

Chahe Mujhe Koi Junglee Kahen .......... Mohammed Rafi

Awaara Hoon .......... Mukesh

Theme Instrumental .......... Nagin

Chabi Kho Jaye .......... Lata Mangeshkar / Shailendra Singh

Yeh Sham Mastani .......... Kishore Kumar

Mere Desh Ki Dharti .......... Mahendra Kapoor & Chorus

Kehta Hai Joker .......... Mukesh

Chalte Chalte .......... Lata Mangeshkar

Mere Sapno Ki Rani .......... Kishore Kumar


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Chandni O Meri Chandi .. Jolly Mukherjee


Jolly Mukherjee, Sridevi

j: o chaaNdani, tu meri chaaNdani
sh: ouch!
j: (rang bhare baadal pe tere nainoN ke kaajal pe
maine is dil pe likh diyaa teraa naam
chaaNdani, o meri chaaNdani) -2
sh: la la la la la..
j: chaaNdani, o meri chaaNdani

sh: hunh! naam likh diyaa
bin poochhe ye kaam kiyaa tumne mujhe badnaam kiyaa, aa aa aa
bin poochhe ye kaam kiyaa tumne mujhe badnaam kiyaa
khair chhoDo Darpok kahin ke

pyaar mujhe tum karte ho, (phir kis baat se Darte ho) -2
bolo bolo bolo na
j: dil pe likhi baatoN ko poNchh na de tu aaNchal se
maine is dil pe likh diyaa teraa naam
chaaNdani, o meri chaaNdani

sh: you fool j: kaun? main!
sh: yes.. yes yes yes j: kyuN?

sh: koi phool koi tohfaa tum kuchh bhi saath nahin laate
baDe vo ho, samjhaaooN tumhen, pyaar sikhaaooN tumhen

apni mahboobaa se milne, (khaali haath nahin aate) -2
tumhen nahin pataa?
j: arrey-rey-rey-rey-rey-rey, aaj main bhool gayaa yaad rakhooNgaa ye kal se
maine is dil pe likh diyaa teraa naam
chaaNdani, o meri chaaNdani

sh: aley-ley-ley-ley-ley-ley, baDi masti kartaa hai re tu
mere shonaa, shonaa shonaa shonaa.., *Laughs*,
pakDo pakDo pakdo pakDo pakDo pakDo pakDo pakDo
aa.. aa hunh

j: chaaNdani, o meri chaaNdani

sh: arrey jaa jaa, chaaNdani chaaNdani kartaa hai

naam meraa dil par likhkar bas tumne baat banaa lee hai
haay tumhen kyaa pataa
maine to dil ke andar, (teri tasveer lagaa lee hai) -2
dikhaaooN? dekhoge?
j: arrey pyaar mein tu jeet gayee apne premi paagal se
maine is dil pe likh diyaa teraa naam
chaaNdani, o meri chaaNdani

j: rang bhare baadal pe tere nainoN ke kaajal pe
maine is dil pe likh diyaa teraa naam
chaaNdani, o meri chaaNdani
sh: la la la la..

(sh: chaaNdani, o main teri chaaNdani
j: chaaNdani, o meri chaaNdani) -2
sh: chaaNdani, o main teri chaaNdani


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Zindagi Ek Safar Hai Suhana .. Kishore Kumar


(Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana) -3
Arey o leiyo leiyo, oleiyo leiyo
Oleiyo leiyo, oleiyo leiyo
Oleiyo leiyo, oleiyo leiyo

(Chadh taaron se chalna hai aage
Asmaanon se badna hai aage) -2
Pichhe reh jayega yeh zamana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana

(Haste gate jahan se guzar
Duniya ki tu parvah na kar) -2
Muskuraate hue din bitana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Haan zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana

(Maut aani hai ayegi ik din
Jaan jaani hai jayegi ik din) -2
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Di di di, du du du
Oleyo leyo ha haa haa


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Mehbooba Mehbooba .. Rahul Dev Burman


Hoo, ooh, ooh, ooh, ooh, oh
Mehbooba ae mehbooba
Ooh, mehbooba ae mehbooba
Mehbooba ae mehbooba hoo hoo hoo
(Gulshan mein gul khilte hain
Jab sehra mein milte hain) - 2
Main aur tu
Mehbooba ae mehbooba
Mehbooba ae mehbooba hoo hoo hoo
(Gulshan mein gul khilte hain
Jab sehra mein milte hain) - 2
Main aur tu
Phool bahaaron se nikla, chaand sitaaron se nikla - 2
Din dooba
Ooh, mehbooba ae mehbooba
Mehbooba ae mehbooba hoo hoo hoo
(Gulshan mein gul khilte hain
Jab sehra mein milte hain) - 2
Main aur tu
Husnu ishq ki raahon mein, baahon mein nigaahon mein - 2
Dil dooba
Ooh, mehbooba ae mehbooba
Mehbooba ae mehbooba hoo hoo hoo
(Gulshan mein gul khilte hain
Jab sehra mein milte hain) - 2
Main aur tu
Mehbooba ae mehbooba, mehbooba ae mehbooba - 2
Ooh, ooh ooh ooh


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- In Aankhon Ki Masti .. Ashoa Bhosle


In aankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Aaja Aaja Main Hoon Pyar Tera .. Asha Bhosle


texttext


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Tere Chehre Se Nazar Nahin .. Lata Mangeshkar


Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen
Tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
Sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
Lage Kadmonse Aag Lipat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
Kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
Lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
Chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
Tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Chahe Mujhe Koi Junglee Kahen .. Mohammed Rafi


yahoo! yahoo!
(chaahe koyi mujhe junglee kahe, kehne do jee kehta rahe
hum pyaar ke toofaanon mein gire hai, hum kya kare) (2)
chaahe koyi mujhe junglee kahe
yahoo! yahoo!

(mere seene mein bhi dil hai, hai mere bhi kuch armaan
mujhe patthar to na samjho, main hoon aakhir ek insaan) (2)
raah meri wohi jiss pe duniya chali (2)
chaahe koyi mujhe junglee kahe, kehne do jee kehta rahe
hum pyaar ke toofaanon mein gire hai, hum kya kare
chaahe koyi mujhe junglee kahe
yahoo! yahoo!

(sard aahen keh rahi hai, hai yeh kaisi balaa ki aag
sote sote zindgaani ghabara ke uthi hai jaag) (2)
main yahaan se wahaan jaise yeh aasmaan (2)
(chaahe koyi mujhe junglee kahe, kehne do jee kehta rahe
hum pyaar ke toofaanon mein gire hai, hum kya kare) (2)
chaahe koyi mujhe junglee kahe
yahoo! yahoo!


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Awaara Hoon .. Mukesh


(Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon) - 2
Aawaara hoon
Gharbaar nahin, sansaar nahin
Mujhse kisi ko pyaar nahin - 2
Us paar kisi se milne ka ikraar nahin
Mujhse kisi ko pyaar nahin - 2
Sunsaan nagar anjaan dagar ka pyaara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon
Aawaara hoon
Aabaad nahin barbaad sahi
Gaata hoon khushi ke geet magar - 2
Zakhmon se bhara seena hai mera
Hansti hai magar yeh mast nazar
Duniya
Duniya mein tere teer ka ya taqdeer ka maara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon
Ya gardish mein hoon aasmaan ka taara hoon
Aawaara hoon, aawaara hoon, aawaara hoon


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Theme Instrumental .. Nagin


texttext


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Chabi Kho Jaye .. Lata Mangeshkar / Shailendra Singh


--MALE--
Baahar se koi andar na aa sake
Andar se koi baahar na jaa sake
Socho kabhi aisa ho to kya ho - 2
Hum tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye - 2

--FEMALE--
Tere nainon ki bhoolbhulaiya mein Bobby kho jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

--MALE--
Aage ho ghanghor andhera

--FEMALE--
Baba mujhe darr lagta hai

--MALE--
Peechhe koi daaku lootera

--FEMALE--
Hm, kyoon darra rahe ho

--MALE--
Aage ho ghanghor andhera
Peechhe koi daaku lootera
Upar bhi jaana ho mushkil
Neeche bhi aana ho mushkil
Socho kabhi aisa ho to kya ho - 2
Hum tum kahin ko jaa rahe ho, aur rasta bhool jaaye

--FEMALE--
O ho

--MALE--
Hum tum kabhi ko jaa rahe ho, aur rasta bhool jaaye

--FEMALE--
Teri baiyaan ke jhoole mein saiyaan Bobby jhool jaaye

--BOTH--
Hum tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

--FEMALE--
Aa ha, aa ha, aa aa aa, aa aa aa aa aa aa
Basti se door, parbat ke peechhe
Masti mein choor ghane pedon ke neeche
Andekhi anjaani si jaga ho
Bas ek hum ho, duji hawa ho
Socho kabhi aisa ho to kya ho - 2

--MALE--
Hum tum ek jungle se guzre, aur sher aa jaaye - 2

--FEMALE--
Sher se main kahoon tumko chhod de, mujhe khaa jaaye
Hum tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye
Aise kyoon khoye khoye ho
Jaage ho ke soye hue ho

--MALE--
Kya hoga kal kisko khabar hai
Thoda sa mere dil mein yeh darr hai
Socho kabhi aisa ho to kya ho - 2
Hum tum yunhi hans khel rahe ho, aur aankh bhar aaye - 2

--FEMALE--
Tere sar ki kasam tere gham se Bobby mar jaaye

--MALE--
Hum tum ek kamre mein band ho, aur chaabi kho jaaye

--FEMALE--
Tere nainon ki bhoolbhulaiya mein Bobby kho jaaye

--MALE--
Hum tum

--FEMALE--
Hum tum

--MALE--
Ek kamre mein band ho

--FEMALE--
Ek kamre mein band ho

--MALE--
Aur chaabi kho jaaye

--FEMALE--
Aur chaabi kho jaaye

--MALE--
Aur chaabi kho jaaye

--FEMALE--
Aur chaabi

--MALE--
Kho jaaye

--FEMALE--
Kho jaaye


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Yeh Sham Mastani .. Kishore Kumar


ye shaam mastaanee, madahosh kiye jaaye
muze dor koee khinche, teree or liye jaaye

door rahatee hain too, mere paas aatee nahee
hothhon pe tere, kabhee pyaas aatee nahee
ayesaa lage jaisai ke too, has ke jahar koee piye jaaye

baat jab main karu, muze rok letee hain kyon
teree mithhee najar, muze tok detee hain kyo
teree hayaa, teree sharam teree kasam mere hothh siye jaaye

yek ruthhee huyee, takadeer jaise koee
khaamosh ayese hain too, tasaweer jaise koee
teree najar, ban ke jubaan lekin tere paigaam diye jaaye


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Mere Desh Ki Dharti .. Mahendra Kapoor & Chorus


mere desh kee dharatee, sonaa ugale, ugale hire motee
mere desh kee dharatee

bailon ke gale mein jab ghungaru, jeewan kaa raag sunaate hai
gam kos door ho jaataa hai, khushiyon ke kanwal musakaate hai
sun ke rahat kee aawaaje, yoo lage kahee shahanaaee baje
aate hee mast bahaaron ke dulhan kee tarah har khet saje

jab chalate hain is dharatee pe hal , mamataa angadaeeyaan letee hai
kyo naa pooje is maantee ko, jo jeewan kaa sukh detee hai
is dharatee pe jis ne janam liyaa, usane hee paayaa pyaar teraa
yahaa apanaa paraayaa koee nahee, hain sab pe, maan, upakaar teraa

ye baag hain gautam naanak kaa, khilate hain aman ke fool yahaan
gaandhee, subhaash taigor, tilak ayese hain chaman ke fool yahaa
rang haraa hareesing nalawe se, rang laal hain laal bahaadoor se
rang banaa basantee bhagatasing rang aman kaa weer jawaahar se


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Kehta Hai Joker .. Mukesh


Kehta hai joker saara jamaana
Aadhi haqikat aadha fasana

Chashma utaaro phir yaaro dekho
duniya nahi hai chehra purana

kehta hai joke...

( Apne pe hans kar jag ko hansaya
Ban ke tamasha mele main aaya ) -2
mele main aaya

(hindu na mulsim, poorab na pashchim) -2
Mazhub hai apna, hansna hansaana

kehta hai joker ...

(Dhakke pe dhakka, rele pe rela
Hai bheed itni, par dil akela ) -2
par dil akela

(gam jab sataye, seeti bazana ) -2
par maskhare se dil mat lagana

kehta hai joker ...
chasma utaro ...
kehta hai joker ...


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Chalte Chalte .. Lata Mangeshkar


MALE
Hm mm hm hm
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye
Bewafa hum nahin, bewafa tum nahin
To kyoon itne gile ho gaye
Chalte chalte kaise yeh faasle ho gaye
Kya pata kahan hum chale
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye
Bewafa hum nahin, bewafa tum nahin
To kyoon itne gile ho gaye
Chalte chalte kaise yeh faasle ho gaye
Hm hm hm ho, kya pata kahan hum chale

FEMALE
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye
Bewafa hum nahin, bewafa tum nahin
To kyoon itne gile ho gaye
Chalte chalte kaise yeh faasle ho gaye
Hm hm hm oh, kya pata kahan hum chale
Duniya jo poochhe to kya hum kahe
Koi yeh humko samjha de
Thes lagi to pal mein toot gaye
Sheeshe ke the kya sab vaade

MALE
Jaata hai koi kyoon sapnon ko thukraake
Paayega yeh dil kya kisi ko bataake
Chalte chalte raakh hum bin jale ho gaye

FEMALE
Mm mm mm oh, bujh gaye diye pyaar ke

MALE
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye

FEMALE
Doob gaya hai jaise dard mein dil
Aansu bhari hain ab aankhein

MALE
Tanhaaiyon ki jo rut aa gayi
Ujdi hui hain sab raahein

FEMALE
Socha tha paayenge dono ek manzil ko

MALE
Raahein jo badli to tum hi bata do
Chalte chalte gum kahan kaafle ho gaye

FEMALE
Hm mm mm oh, kho gaye kahan raaste

MALE
Pyaar humko bhi hai, pyaar tumko bhi hai
To yeh kya silsile ho gaye

FEMALE
Bewafa hum nahin, bewafa tum nahin
To kyoon itne gile ho gaye
Chalte chalte kaise yeh faasle ho gaye

MALE
Hm hm hm ho, kya pata kahan hum chale

FEMALE
Hm, kya pata kahan hum chale


Rough Guide to Bollywood Gold soundtrack lyrics -- Mere Sapno Ki Rani .. Kishore Kumar


O, eh hey hey, ha ha
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa
(Pyaar ki galiyaan, baagon ki kaliyaan
Sab rang raliyaan poochh rahi hain) - 2
Geet panghat pe kis din gaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
(Phool si khilke, paas aa dil ke
Door se milke chain na aaye) - 2
Aur kab tak mujhe tadpaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
(Kya hai bharosa aashiq dil ka
Aur kisi pe yeh aa jaaye) - 2
Aa gaya to bahut pachtaayegi tu
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, tu chali aa
Mere sapnon ki rani kab aayegi tu
Aayi rut mastaani kab aayegi tu
Beeti jaaye zindagaani kab aayegi tu
Chali aa, haan tu chali aa
Chali aa, tu chali aa
Chali aa, haan tu chali aa